Saturday, February 11, 2012

For friends

Humnay Dil Tora Dharkanoun Kay Khauf Say
Apni Basti He Mita Di Barishoun Kay Khauf Say
Kon Kehta Hai Hamein Mohabbat Ras Agaye?
Hum Tu Youn He Hans Daitay Hain Ansoun Kay Khauf Say

Jab bhi yaad aate ho ye nazrain jhuka leta hon,
Bheegi bheegi palkon se Tumhe hoton tak la leta hon,
Tumse jo kuch keh na paya khud se woh sab kehta hon,
Guzri lamhe guzri baton ko yaad karta rehta hon,
Dil main bebasi nazron ki berukhi si khamoshi ko apna leta hon,
koi khol na de ye raaz ko daar ke nazrain hi jhukaye rakhta hon..

Har baar apki salamati ki dua karenge,
teri arzoo main apni hasti fanaah karenge,
tum chahe daman bachalo humse lekin….
Hum marte dum tak aapse wafa karenge!

Kuch rahe na rahe, teri mohabbat ka sahara rahe
Pyar main dooba, hamesha ye dil hamara rahe
Khushian teri, sare ghum mere hon dua yehi hai
Ankhoon main, sada chehra tumhara rahe

Intezaar rehta har shaam tera,
yaadain katati hain le-le kar naam tera…
Muddat se baithe hain yeh aas paale,
Ki aaj aayega koi paigaam tera….

Na thi JISKO mere pyaar ki kadar…
Itefaq se USSI ko chah rahe they hum…
Usi diye ne jalaya mere hathon ko,
Jisko hawa se bacha rahe they hum.!

Waqt aur khushi tere Gulam Honge,
Har Pal aur Pehlu Tere Hi naam Honge,
Jara Mud Kar Dekhna Mere Dost,
Tere Har Kadam ke neechemere hatho ke nishan Honge…
janaja wo mera rukwa ke bole,
lautenge kab tak kahan ja rahe hain??
saja jindagi ki yahan katkar hum ,
jahan se chale the wahan ja rahe hain

unse shikayt b kya karein..
humnae b kabhi izhaar nahi kiya…
hum unkae liye tadap-tae hain…
jinho-nae kabhi,humse pyaar nahi kiya

yun toh yaadein puraani nahi hoti..
pyaar pana sabki kismat nahi hoti..
hum dil rakh aaye unkae dar par,
yeh jaantae huve, ki unki nazraein zammeen par nahi hoti

apni har ik saans teri ghulam kar rakhi hai
logo mein ye zindagi badnam kar rakhi hai,
aaina bhi nahi ab to kisi kam ka,
hamne to apni parchhayi bhi sanam tere naam kar rakhi hai

kudrat ke usoloon me badal kyon nahi hota.
jo aaj hua hain wah kal kyon nahi hota.
har zheel main lehre hain aur har zheel me pani,
phir sabke mukudar main kamal kyon nahi hota.
jab tune hi duniya ka yeh divan likha hain ,
toh har aadmi ek pyaari si gajal kyon nahi hota.
baar baar na milne ki kasam khakar bhi mile hum,
phir aapne hi irado per aamal kyon nahi hota

Hum likhte nahin the kisi jamane mein,
par teri aashique ne shayar bana diya
Dil to hasta aaya hai jamane se
par ik pal to toone rula diya
Jaan phir bhee na nikali is diwane mein se
kyonki tere pyar ne mujhe amar bana diya

tujhse bichude hue mujhe ho gaye arse
yaad teri bahut aati hai dil tujhse milne ko tarse
zamana to pehle se dushman tha humara
ab mausam ko bhi dekho bin badal sawan bares
apane na ho sake jo dil kaa qaraar ho kar
aaNkhon mein bas gaye hain rang-e-bahaar ho kar
pahale na ye Khabar thi hai maut dil kaa aanaa
jo phool khil rahaa thaa khaTakaa vo Khaar ho kar
ham dil mein dafn kar ke sab murdaa hasaraton ko
Kaamosh jal rahe hain shamm-e-mazaar ho kar

ham apane dil kaa fasaanaa unhen sunaa na sake
lagi hai aaG jo dil mein use bujhaa na sake
teri talaash mein dar-dar ki Thokaren khaayin
meri wafaa ke qadam phir bhi Dagamagaa na sake
zaraa to soch ke us dil kaa haal kyaa hogaa jo door
reh na sake tere paas aa na sake
ham unko yaad na karate pe dil kaa kyaa kijiye hazaar bhoolanaa
chaahaa magar bhulaa na sake

badanaam na ho jaaye muhabbat ka fasaanaa
ai dard bhare aaNsuo aaNkhon mein na aanaa
duniya mein muhabbat ki yehi reet hai ai dil jal jaanaa
magar honTon pe fariyaad na laanaa

No comments:

Post a Comment