Sunday, March 9, 2008

इन्तेलेगेंट sayare

Dosti achchi ho toh rang laati hai,
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho….
…. Toh itihaas banaati hai !

Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !

Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !

Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !

Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !

Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !

No comments:

Post a Comment