Saturday, February 11, 2012

Bahar se nafrat thi,
Par dil me wo mere basta tha !
Wo pagal sa ek ladka,
Jo dekh ke mujhko hansta tha !!!

Kyun thukraya ? mang ko uski,
Soch ke ab pachhtati hu !
Dil ke badle dil manga tha,
sauda kitna sasta tha !!!

Kisse puchhu ? kaise puchhu ?
Kyun nahi deta ab dikhayi !
Roz guzarta tha wo idhar se,
Uska yahi rasta tha !!!

Dard chhupa kar jeena uski,
bahut purani adat thi !
Bheetar-bheetar rota tha wo,
bahar-bahar hansta tha !!!





Hum To Mojood Thay Andheroon Mai Ujaalon Ki Tarhan
Tum Nay Chaha Hi Nahi Chaahnay Waloon Ki Tarhan..




Wo Jo Khud Pairwi-E-Ehl-E-Wafa Karta Tha shikha
Mujh Se Milta Tha To Talqeen-E-Wafa Karta Tha




yaadein akasar logo ki yaad dila jaati hai

soote main hume dara kar jaati hai

yaadein se pucha ek din maine

tum akhir yaadein kyun kehlati ho

yaadein boli

yaadein hai dil ki aatma

No comments:

Post a Comment