Tuesday, July 28, 2009

indian dosti sms and sayari, india Sayari, india poem and love sayari, indian sad,

Yaad hai tera woh hansna,muskarana
Bina baat ke roothna,hamara manana
Shararti chitvan se phir khilkhilana
Apni shokh adaaon se sab ko lubhana

Woh rang birangi parindon see teri chahak
Hawa mein laharate phoolon see teri mahak
Kaun na jayey is sab se bahak
Zamin uchlhle aur chhooye phalak

Fiza mein awaaz teri goonje aise
Sau saaz baj rahein ho jaise
Koi dil apna roke kaise
Jab tarranum bahlaye apni lay se



Teri aankhon ki har nazar toofani hai
Kashish ki ek dilkash kahani hai
Jambushe janoon se zindagi bani suhani hai
Dil ne bhi jaise machalne ki thani hai

Tere aate hi roshni chhane lagti hai
Dil ke andhere ko chhatkane lagti hai
Taaza hawa wajood mein jaane lagti hai
Aur murda rooh mein jaan aane lagti hai

Aaj tum paas nahin to koi baat nahin
Tera ahsas na ho woh din nahin raat nahin
Yoon hi har dam chahakte raho mahakte raho
Dil ke goshe goshe mein khushian bharte raho...




Aasmano ki dunya nahi mere paas..
Main ho gareeb dongi bas tera saath..
Chaand tare kiya main lao, jhoot kyu main batao
Saci sachi boli bole, dilki her baat..
Taajmhal na main mango, na mango gadi bangle,
Dene hai tu de de sajan, umer bher hatoo main haat..
Aasmano ki dunya nahi mere paas,
Chota sag gher ho, bas usmain sajan ho..
Saath tere bas main raho, din ho ya raat..
Ho main gareb bas, donigi tera saath
Koi wada main na karo, koi qasmain na khani
Main ho gareb main to, bas do pyaar se her qurbani,
Dene hai tu de de sajan, umer bher hato main haath ...





Baazi-e-Ishq Kuch Iss Tarah Se Haarey Yaaro
Zakham Par Zakham Lage Dil Pe Hamare Yaaro

Koi Toh Aisa Ho Jo Ghaao Par Marham Rakhe
Yun Toh Dushman Na Banno Saare Ke Saare Yaaro

Bazm Mein Sarr Ko Jhukaaye Hue Jo Bethey Hai
Inn Ko Matt Chhero Yeh Hai Ishq Ke Maarey Yaaro

Jinn Mein Hote Thei Kabhi Meher-O-Wafa Ke Moti
Inn Hi Aankhon Mein Sitam Ke Hai Sharaarey Yaaro

Dost Hi Apne Jo Karne Lage Nazar-E-Toofaan
Kaam Nahin Aate Phir Koi Sahaarey Yaaro

Sang Gairo Ne Jo Maarey Toh Koi Dukh Na Hua
Marr Gaye Tum Ne Magar Phool Jo Maarey Yaaro

Vo Jo Raha Dil Geer Tumhaari Khaatir
Tum Ne Kya Kya Nahin Taaney Usse Maarey Yaaro





Gham Ke Maare Jo Muskuraaye Hai,
Aansuo Ko Bhi Paseene Aaye Hai,

Kya Bala Hai Khushi Nahin Maaloom,
Hum Toh Bas Naam Sunte Aaye Hai....




Pyar mein meetha dard mila yeh bohat hai
Sapno ko nayi disha mili vo bohat hai
Pyar poora hua ya adhura baat yeh nahin
Pyar karne ka mauka mila vo hi bohat hai




ALFAAZ NAHIN HAI KEHNE KO
TUMKO BATA RAHI HU
ALFAAZO SE DARD CHALAKTA HAI
TUMSE APNA DARD CHUPPA RAHI HU




Alfaaz Nahin Hai Kehne Ko isliye Mohabat ka Iqrar nahi karta
iska matlab ye nahin k main tujhe pyar nahi karta
chata hun tumhe aaj bhi par teri
soch mein apna waqt bekar nahikarta
tamasha na ban jaye kahin mohobat mein mera
islye apne dard ko Izhar nahi karta




Hum To Mojood Thay Andheroon Mai Ujaalon Ki Tarhan
Tum Nay Chaha Hi Nahi Chaahnay Waloon Ki Tarhan..





ALFAAZ NAHIN HAI KEHNE KO
TUMKO BATA RAHI HU
ALFAAZO SE DARD CHALAKTA HAI
TUMSE APNA DARD CHUPPA RAHI HU





Apko Kya Bataye Haal e Dil Hai Mere Hum Dum
Dard Bhi Toh Kafi Hota Hai Batane Seh




Mujhe Guman Tah Chaha Bahoot Zamane Ne Mujhe
Main Azeez Sabko Tah Magar Zarurat Ke Liye
* ~ Main Aur Mere Tanhayee ~ *


Sambhal Sambhal Ke Qadam Rakh Rahi Hu Chaahat Mein
Mein Teri Nazron Se Girr Kar Sambhal Nahin Sakti

No comments:

Post a Comment