Tuesday, July 28, 2009

india poem and love sayari, india Sayari, indian sad,

hum yad tu tum ko ate hon ge,
jab punchi geet sunate hon ge,
jab sawan ki rut ati ho gi,
jab phool khushbo mahkate hon ge
jab peeple patte girate hon ge.
jab judai k derd sattate hon ge
jab dosti kissi se hoti ho gi
jab dost bicher k jate hon ge
HUM YAAD To TUM KO ATE HON GE




Mere Zakhmo Ko Aapka Dukhaana Acha Laga
Meri Haalat Pe Aapka Muskuraana Acha Laga

Mujhe Toh Talab Thi Aapke Pyar Ki
Aapka Nafrat Se Nigaahen Churaana Acha Laga

Laga Ke Aag Mere Aashiyaane Ko
Phir Aapka Khushiyaan Manaana Acha Laga

Dil Mein Thi Hasrat Aap Ke Deedar Ki
Saamne Aakar Chehra Chupaana Acha Laga

Dil Ke Mere Darwaaze Pe Di Dastak
Phir Khud Hi Aapka Pathar Barsaana Acha Laga

Bana Kar Mujhko Apni Deewani Phir
Aap Ka Khud Hi Thokar Lagaana Acha Laga



Zindagi ki raah mein aage chalte jana har pal,mur ke na dekh beete hue pal
jo nahin tha tera tujhe nahin mila,jo milgaya uske sath guzaar apna har pal



Kat ti naheen hay gham ki raat
Aa k thair gayi hai kiya
Nend to khair so gayi
Mout bhi mar gayi hai kiya

Jalte hain armaan
Mera dil rota hai
Kismat ka dastoor
Nirala hota hai

Koun mere tuute dil ki
Faryaad sune
Aaj meri taqdeer ka
Maalik sota hai

Ayi asi moj k
Sahil chuut gaya
Warna apni kashti
Koun dubota hai
Kismat ka dastoor
Nirala hota hai...




Yaad kisi ko karna yeh baat nahin jataane ki
dil par chot dena aadat hai zamane ki
Hum aap ko yaad bilkul nahin karte
kyun ke yaad karna ek nishaani hai bhool jane ki



Tumko jaante nahin, par chaahte hai hum
Din bhar khojte nahin, par sochte hai hum
Tumhare dil mein rehte nahin, par tumhare hai hum
Tumko shayad paayenge nahin, par apnaayege hum
Jeevan mein shayad kabhi mil na paao,bas bichad jaaoge tum
Shayad hamare na ban paao, par muskuraoge tum
Raat andheri hogi, phir-bhi jhilmilaoge tum
Hamein aur koi nahin, bas yaad aao ge tum



nakam huyii mohhbat to maykhaane main chale aaye Nasir
ye wo jagah hai jahaan log apna gum bhool jate hain....



Teri ChaHat ki intehaa to DekH " JAAn"..
Hum kaha Se KAha LE aai...

NiKAle The MAnDir jane ko..
Aur Teri Chahat hume MeyKhane LE aai..





ZinDagi Se Maut tak tu gaya kaise...
Hume Chhod ke raaho me tanha yu..

Tu hum se aage gaya kaise...???
Meri Zindagi aur teri Maut ke beech ye Rista kaise ????





meri chahat ne tujhe mandir se meykhane tak pauhchadiya
aur teri chahatne hame zindagi se maut tak...........



aansuo ko aankhon tak laaya na karo
dil ki baat kisi ko bataya na karo
log mutthi mein namak liye firte hain
apne zakhm kisi ko dikhaya na karo...

No comments:

Post a Comment