Tuesday, July 21, 2009

india poem and love sayari, indian love sms and sayari, indian dosti sms and sayari, indian funny jokes, india Sayari,

Dosti achchi ho toh rang laati hai,
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho….
…. Toh itihaas banaati hai !

Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !

Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !

Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !

Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !

Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !

Dost ek saahil hai tufaano ke liye,
Dost ek aaina hai armaano ke liye,
Dost ek mehfil hai anjaano ke liye,
Dosti ek khawaahish hai aap jaise dost ko paane ke liye !!

Raatein gumnaam hoti hai,
Din kisike naam hota hai,
Hum zindagi kuch is tarah jeete hai,
Ki har lamha doston ke naam hota hai !

Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meri dosti mein itna dum,
Apni aankh ka aansoon teri aankh se gira sakta hoon !!

Aye dost teri dosti uss ghadi tadpaayegi,
Jab zindagi kahegi alvida, Aur maut bhi naa aayegi ! …



Bhoj gay hain jo deay un ko jala kar dekho!!
Phool guldano main Kagaz k saaja kar dekho!!
Ap ko agar andaza nahi ho mere tot jane ka!!
Koi pather kesi Shishe per bhi gira kar dekho!!

Hijar-gum ki Aag ko Gulzar bana detay hain jo!
Ase bhi log hain Jahan main ap apna kar dekho!
Ab bhi mil jayei n gi bhar Rang zindagi main!
Apne Mehalon se Verane main aa kar dekho!

Pher yehi Tanhaiy bhi tumara saath dein gi!!
Ek bar dil se Humain Pukar kar bhi dekho!!
Mil ja y gi Muhabaat kise Rahygozar main bhi!
Apne Sar se ye Ameere ka taj Utar kar dekho!!

Meta nahi sakhe Duniya dastan ishqe koi!
Ek nazar Fasany-Muhabaat par kar dekho!!
Hum ne bhi sahi hai yun Hijar-gumsare!!
K koi Charag hawaon main jala kar dekho!

Socho to ketine Khawabdeda guzri zindagi!
Kabhi khud ko Raaton main jaaga kar dekho!
Akser koi soch ta hai Anjam muhabaat kaya!
Mefeel-Shama main Pawane ko bola kar dekho!

Duniya dare ko to Parkha hai Buhut tum ne(zubair)
Ab ek (jokar ki duniya )main bhi Rahey kar dekho!Kashti Zandagi ki ab Aa k Saheel per aa Thayri!!
Koston ye Manzar bhi kabhi khud aa kare dekho!!



aay zindagi mujhe itna ahsas na dila apne hone ka,
k bade jata hai daard tujhy khone ka,
———————————————–
rahy yun agar tu mujhe se khafa khafa,
to shayad na rahe daar tujh se door hoo ne ka,
———————————————–
de mujhe itne gum k hojay roshan mare tanhai,
k dard sa lagta hai in raaton main kho ne ka,
———————————————–
the to nahi adat k raheta main apne yaadon main ; per ek ahsan hai mujhe pher ab mare zindagi ka ,
———————————————–
aay zindagi itna ahsas na dila apne hone ka ,
k bade jata hai daard tujhe khone ka,
by- jokar



Bhoj gay hain jo deay un ko jala kar dekho!!
Phool guldano main Kagaz k saaja kar dekho!!
Ap ko agar andaza nahi ho mere tot jane ka!!
Koi pather kesi Shishe per bhi gira kar dekho!!

Hijar-gum ki Aag ko Gulzar bana detay hain jo!
Ase bhi log hain Jahan main ap apna kar dekho!
Ab bhi mil jayei n gi bhar Rang zindagi main!
Apne Mehalon se Verane main aa kar dekho!

Pher yehi Tanhaiy bhi tumara saath dein gi!!
Ek bar dil se Humain Pukar kar bhi dekho!!
Mil ja y gi Muhabaat kise Rahygozar main bhi!
Apne Sar se ye Ameere ka taj Utar kar dekho!!

Meta nahi sakhe Duniya dastan ishqe koi!
Ek nazar Fasany-Muhabaat par kar dekho!!
Hum ne bhi sahi hai yun Hijar-gumsare!!
K koi Charag hawaon main jala kar dekho!

Socho to ketine Khawabdeda guzri zindagi!
Kabhi khud ko Raaton main jaaga kar dekho!
Akser koi soch ta hai Anjam muhabaat kaya!
Mefeel-Shama main Pawane ko bola kar dekho!

Duniya dare ko to Parkha hai Buhut tum ne(zubair)
Ab ek (jokar ki duniya )main bhi Rahey kar dekho!Kashti Zandagi ki ab Aa k Saheel per aa Thayri!!
Koston ye Manzar bhi kabhi khud aa kare dekho!!


har-aik ruuh kii saanson pe wazan dekh raha huun
mein har-aik sakhs ke haathon mein kafan dekh raha huun
ruuh=words line
Ai khirad-mandon khuda hone ka daavA na karo
mein to insaan mein aadam ko bhii kam dekh raha hoon

yeh hawaaon mein zahar aur yeh biimaar fiza
kal ko jo hona hai anzaam-e-chaman dekh raha hoon

yeh khudaaon ke liye qatl-e-khuddai choRho
nasl-e-aadam mein tabaahi ka chalan dekh raha hoon

roshni waalon andheron mein bhii jeena siikho
mein aaftaab ke kadmu mein thakan dekh raha hoon



jab ziNdgi karke kinaara guzar gayee
pher zikr kiya kareiN woh kahaaN kidhar gayee

yeh to nahiN gilaa sath maare raqeeb neiN
dekha tujhe jo saath zaraa aaNkh bhar gayee
bhar=ansoon,
chupaana logoN se to naa mushkil kabhi huaa
Aayna jab bolne lagaa meri zaat dar gayee

chaahat ki raah pe mukaam roshan kiye bahut
mohabbat wafa dosti main teri nazar gayee

naam dost ka lekar jo karta rahaa bas dua
kyoN uske iNtzaar meiN tamanna thehar gayee
tamanna=zindagi

gaati thee “zubair” aksar woh laRki teri ghazal
kar k soony maazi ki gali kis shaher gayee


“”yeh meri lagzish…yeh meri uljhan…
sambhal na paayee …sulajh na paayee!
khirad ko bhi aazmaa chukaa hoon
junoon ko bhi aazmaa chukaa hoon!!

Maut jab saamne aati hai to jee letaa hoon,
Zakhm muh kholne lagte hain to see letaa hoon,
mujhko maaloom hai masti ki haqeeqat lekin,
Hosh jab hadd se guzarti hai to pee letaa hoon!!

Naksh kuch mitte rahe kuch sooratein banti raheen,
Ranj ki beshi kabhie se raahatein banti raheen,
Mera sarmaayaa umeedon ke sivaa kuch bhi na thaa,
Kuch to yaadein ban gayeen kuch hasratein banti raheen



Socha nahin achha bura, dekha suna kuch bhi nahin,
Maanga khuda say raat din, teray siva kuch bhi nahin !
Dekha tujhay, socha tujhay, chaha tujhay, pooja tujhay,
Meri khata meri wafa, teri khata kuch bhi nahin !
Maanga khuda say raat din………………..

Jis par hamari aankh nay moti bichayey raat bhar,
Bheja wahi kagaz usay, hamnay likha kuch bhi nahin !
Maanga khuda say raat din………………..

Ik shaam ki dahleez par, baithay rahey woh dher tak,
Aankhon say kee batain bahut, munh say kaha kuch bhi nahin !
Maanga khuda say raat din………………..

Socha nahin achha bura, dekha suna kuch bhi nahin,
Maanga khuda say raat din, teray siva kuch bhi nahin !



dete ho kyu ye dard bus humi ko kya
samjoge tum in ankho ki nami ho
u to hoge lakho dewane is chand k
chand kya mehsus karega 1 tare ki kami ko

hum apne app par garoor nahi karte
kisiko pyr karne par majbor nahi karte
magr jise ek bar dil mein basa le phir marte damtak use dilse door nahi karte

Wishwas banke log zindagi me aate hain
khwab banke ankhon me samajate hain
phele to ye yakin dilate hain ki wo hamare hain
fir na jane kyu tanha chod jate hain

hasrat hai sirf unhe pane ki
aur koi khwaahish nahi is deewane ki
shikwa mujhe unse nahi khuda se hai
kya zaroort thi unhe itna khoobsurat banane ki

fassle mitakar aapas me pyaar rakhana
pyar ka ye rishta hamesh barkarar rakhna
bicod jayen kahin hum agar
ankhon mei hamesha intezar rakhna


My frndship is like sugercane u crush it
twist it squeez it beat it to plup
all that you’ll get is sweetness.


WOh Bekhabar Hai Bakhabar Kabhi Nahin hota….
Hamari Baat Ka Jis Par Asar Nahin Hota…

Charagh-e-Hijar Musalsal Jalaye Bethay Hain……
Kabhi Hawa Ka Udhar Se guzar Nahin Hota…

Khud Apne Wastey Jeena Bhi Koi Jeena Hai….
Safar Yeh HAyat Ka kion Mukhtasar Nahin Hota…

Khud apne Dais Ki Matti Mera Tashakhus Hai…
Diyar-e-Gair Ka Ghar Apna Ghar Nahin hota…

payal Yeh Ishq Ki Soghat Bhi Ajab Shai Hai…..
Yeh Woh Shajar Hai Jis Ka Samar Nahin Hota…


Mujhay roshni k jazeeron say …

Is tarhaan mili ho tum …

Jaisay taareek rahoon main …

Koi diya ho mad’dham sa …

Jis ki roshni main khud ko daikh to sakta hoon magar …

Yeh roshni ka safar shayad mera hamsafar na ho …

Shayad k tera milna kabhi bhi meri zindagi ka muqaddar na ho …

So aaj inhi lamhoon main …

Lota dain jitni chahatain hain …

Mere dil k nehaan khanoon main …

Jitni un kahi batain hain …

Phir kal fursat milay na milay …

Jis tarhaan saji hai aaj apni mehfil …

Phir yeh bazam sajay na sajay …

Kyon k main janta hoon …

Kay meri natamaam khuahishoon main ab …

Tumhain bhi shamil hona hai …

Aaj paya hai tumhain muqaddar say …

Kal isi tarhaan …

Tumhain bhi khona hai …

No comments:

Post a Comment