Search Indian Shayari

Friday, February 24, 2012

Zameen pe chal na ska, aasman se b gya

Zameen pe chal na ska, aasman se b gya


Zameen pe chal na ska, aasman se b gya
Kaat k per ko parinda urran se b gya
Tbah kar geiy mujhe pakke makaan ki khawaish
Mein apne gaoon k kache makaan se b gya
Bhulana chaha tou bhulaane ki hudh kar di
Ab wo shakhs mere wehm-o-gumaan se b gya
Kisi k haath se nikla hua wo teer hoon mein
Jo nishaane ko chhoo na ska aur kamaan se b gya

You Might Also Like

    Listen to this post
    1x

    No comments:

    Post a Comment