Monday, February 27, 2012

Dost SMS

Dost SMS

Ye safar Dosti ka kabhi khatm na hoga,
Doston se pyaar kabhi kam na hoga.
Door rehkar bhi jab rahegi mehek iski,
Hamein kabhi bicchadne ka gham na hoga…

Har raat ko chand ka shingar nahi milta,
Har baag ko phool ka dular nahi milta,
Maine bhi duniya dekhi hai Dost,
Har insaan ko tere jaisa yaar nahi milta.

Hasna hamara kisi ko gawara nahi hota
Har musafir jindagi ka sahara nahi hota
Milte hai bahot log is tanha jindagi mein
Par koi DOST tumsa pyara nahi hota!

Jasda-e-Dost nakam nahi hone denge!
Aap ki duniya me shaam nahi hone denge!
Dosti ka har imtihan apne sar pe lenge!
Par e Dost,Aapko kabhi pareshan na hone denge!

Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jaata,
Dil me lagi aag ko bujhaya nahi jaata,
Kitni bhi duri ho Dosti me,
Aap jaise Dost ko bhulaya nahi jaata.

Rishto ki kitab ka cover hai Dosti,
Dosti se bani hai hamari Hasti,
Khoon K rishto ki baat aap karte hai,
Hamare liye to Zindagi hai Aap Ki Dosti

Karni Khuda se kuch fariyaad baaki hai,
Hamein unse kehni kuch baat baaki hai…
Maut aegi to kehna ruk,abhi apne Dost se
Mulaakaat baaki hai….

Teri palko pe khwab rakh gaya koi
teri saso pe naam likh gaya koi
chalo vada raha tumse
bhool jana hame agar humse acha Dost tumhe mil gaya koi..

Vaise to kai Dost hai hamare,
jaise asmaan me kai tare
par aap Dosti K aasman K woh chand hai
jiske samne fikey padte hai sare sitare

Raate gumnaam hoti hai
din kisi K nam hoti hai
hum jindagi kuch iss tarah jite hai
ki har lamha sirf Doston K hi naam hoti hai..

Dillagi Dosto ke naam hoti hai..
Dildari Dosto ki shaan hoti hai..
kahi bhi raho par rahoge Dil me mere..
yahi sachchi Dosti ki pehchaan hoti hai...

Aana humara kisi ko gavara nahi hota
har musafir jindagi ka sahara nahi hota..
milte hai bahut log is tanha jindagi me
par har koi Dost tumsa pyara nahi hota

Yaad na karoge to satayenge..
ruthoge ..to manayenge..
rovoge.. to hansayenge..
DOST hain hum tere, SAAYA nahi..
jo ANDHERE mein tera SAATH chhod jaayenge

Muskan tere honto se kahi jaye na
aansoo tere palko pe kabhi aaye na
pura ho tera har khwab
aur jo pura na ho woh khwab kabhi aaye na

No comments:

Post a Comment