Wednesday, August 19, 2009

MasalaGuru

MasalaGuru

jis ladki ki baat hun karti
jis ladki ki baat hun karti
vo sach me bilkul aisi thi
chand ko dekhke vo roti thi
tum ko dekhke muskati thi
sabse alag raha karti thi
phoolon se baaten karti thi
titali yan uski sakhi saheli
taare saare uske saathi
tum dono ka saath anutha
saath saath achche lagte the
vo tum se ye kah na paai
uski bhi koi majboori thi
tum se door kahin rahti hai
tum ko sapno me rakhti hai
tumne jo vo gazal likhi thi
aaj bhi usko vo gungunati hai
rote rote hans deti hai
hanste hanste ro deti hai…..
its mine

mujhe sab yaad hai bhooli nahi hun
tu bachpan me bahut hi chulbula tha
vo jhoolon pe tera parvaz lena
vo chhup chup ke mujhe aawaz dena
vo chidiyon pe gulelon se jo hamle
kiye tune the aur jab main thi roi
to tune tod di thi sab gulelen
phir ham sang sang hi jugnu the pakadte
aur ek botal me unko band karte
phir unki jagmgati roshani se
hamari aankhen bhi thi jagmgati
tabhi mujhko koi awaz deta
aur main thi apne ghar ko laut jati
magar jaldi hi vapas laut aati
ki tera sath mujhko khinch lata
patangon ka tera vo shoq kaisa
ki sara din udate the patangen
sada main hi to thi jo chrkha pakdti
aur jab bhi ye hua kati patang koi
mujhe hi danta tha tu hamesha
ki maine thik se charkha na pakda
aur jab main ro di kabhi teri dant khake
to tu sari patangen phad deta
mujhe phir leke jaata baagh me tha aur
meri man pasand titali pakdta
hamara beshqimat bachpana vo
jahan tohfe sazaen sab hasin the
kash ik baar phir mil jaae hamko
use bhi ham kisi titali ya jugnu ki tarah hi
pakad ke rakh len aur phir khush hi holen
ki ab koi shay khushi deti nahi hai
mujhe achcha koi lagta nahi hai
its mine

har zindagi ko dekhiye vanvas aaj hai
sab apni sarzameeno se door ja pade
yaad e watan liye sab hi yahaan tanha se ji rahe
kuchh raam hain akele kahin seeta bhi saath hai
vanvaas to lekin phir bhi vanvaas hai
hai rizq aisi cheez hame le jahaan na jaaye
ham pe khuda raham rahe jo na ye karaaye
sab bhagten hain isake liye dar se bedar aaj
ghar hai jahan vo khaali pade door ham rahe
ham zindagi bhi kaat rahe soch ke ye bas
jaise hi moqa hamko mila ham bhi jaayen ghar
par jab bhi gaye ghar ye laga ye nahi tha ghar
ham door rahe itna ki ye ghar badal gaya
saaron ka baat karne ka tareeqa badal gaya
sabne hi hai ye maan liya ham yahaan nahi
aur ham to ab yahaan ke rahe na vahaan ke ham
ab sochate hain konse ghar ko jaaye ham
ae zindagi mazaaq na kar thak chuke hain ham
ham ko kahin ka tu bhi kar ki thak chuke hain ham
pardes hi ko des bana itna pyar de
yaad e watan ko dil se mere ab nikal de

No comments:

Post a Comment