Wednesday, August 19, 2009

india poem and love sayari, india Sayari, indian dosti sms and sayari,

Sher-o-shayari mein ek alag maza hai,
jaise ishq ek haseen saza hai,
jaha milan pe jitni khushi,
utna he judai pe hota hai gum,
tabhi aashiq banta hai shayar aur shayari uski sanam

shayari ka kaam
hamne kaha roka hai shayari padhne se,
na likh pao tau harz nahi sirf sunne mein,
likho ya suno kya farq padta hai..
shayari tau lagi rehti hai dil’o ko chu’ne mein

zindagi………..
jine ka gum jeene wala jane,
tanhai ka gum tanha jane,
hum bs itna samajhte hai,
yeh tanhaiyan bhi zindagi hai,
yeh zindagi bhi zindagi hai..

Dekha tujhe to rooh khush ho gayi,
Ek kami thi vo bhi puri ho gayi,
Pagal hain vo log jo kehte hain ki,
Chimpanzi ki aakhri nasal kahin kho gayi!!

Mere Dil, Jiger, Kidney, Liver ho tum
waqt-bewaqt aaye vo fever ho tum
Doob kar jisme marr jaoo vo River ho tum
Mere jeevan mein ab to forever ho tum…

Shaam hote hi ye Dil udaas hota hai
Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai
Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai
Bandar jab koi aas-paas hota hai..

MUSKURANA hi to KHUSHI nahi hoti,
UMAR bitana hi to ZINDAGI nahi hoti.
Khud ko MITANA padta hai DOSTI mein,
Kyunki DOST kehna hi to DOSTI nahi hoti

No comments:

Post a Comment