Mai aur meri tanhai
Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai
Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai
Kartey hain basar raat main meri tanhai
Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai
Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai
Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai
Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai
raat ko ned nahi aati hai
din ko chan nahi ata hai
jab mein ne dil sy poch
k liya yehi peyar hai
dil ne kaha k
bas tery yed aai
shaam hote hi chiragon ko bujha deta hoon.
ye dil hi kafi hai teri yaad main jal jane ke liye.
Mil mil ke bicharrna mujhe accha nahi lagta
Per tum ko bhi paane ka raasta nahi milta
Tere khaloos-e- Mohabbat pe aetbaar hai itna
Siwa tere koi rishta sacha nahi lagta
Tu mera Pyaar meri zindagi mera sab kuch
Bina tere yeh jeewan to mujhe accha nahi lagta
Bohat mushkil se milte hain kisi ko chahne wale
Main jis ko chahta hoon woh mujhe hi nahi milta
Dil to kya Jaan bhi main us ko dedeta
Woh ek baar apne Pyaar ka izhaar to karta……..
Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
Wo Tum Thay Ya Ek Khayal Tha
ReplyDeleteMari Soch Ka Hi Kamal Tha
Wo Muhabbatein , Wo Chahaten
Mari Uljhano Ka Hi Jaal Tha
Mujhe Jawab Jis Ka Mila Nahi
Wo Aisa Hi Ek Sawal Tah
Wo Aj Gaya To Ehsaas Hua
Kis Qadar Mujhe Us Se Pyar Tha
Ab Uski Kya Main Misaal Doon
Wo Apni Misaal Aap Tha