Friday, July 31, 2009

Indian Shayari

Indian Shayari


Dard tha dil mein jo paraya tha,
Nikal gaya dil se jo rona aaya.
Kuch umeedon pe mohobat ki thi shayad,
Jinkey tut janey pe unhein rona aaya.
Shaam ki kubsorati deykhi nahi,
Dhaltey ujaley pe kyun rona aaya.
Zamaney ki baton to dil se laga kar,
Utha pyar se bharosa jo rona aaya

Raat hogi aur chand dikhayie deyga,
Khuda bhi khidki se tumhey niharta dikhayie deyga,
Yeh mohobatt ki khamoshi hai sambhal kar rona,
Aansoo agar zamein par gire toh sunaie deyga

kachi deewar ho thokar na lagana mujhko,
apni nazroon mein basakar na girana mujhko,
tumko ankhon mein tasveer ki tarha rakhta hoon,
dil mein dadhkan ki tarha tum bhi basana mujhko Gud Morning,

Tamannao ke samandar to humne bhi bhande hai, lehreon mai ufaan bhi hai, bus ab dekhna itan hai ki zor baajuon mai humari chattano se kitna jyada hai.

kitna bebas he insan kismat k age,
kitne benur he sapnae hakikat k age,
koi ruki hui dhadkan se puche,
kitna tadpata he dil mahobbat k age…

dil ki bat zuba tak lana kitna mushkil he,
hal-e-dil kisi ko suna na kitna mushkil he.
ek hume he teri chahat, ek duniya ki majburi,
bich sumnder diya jalana kitna mushkil he…

No comments:

Post a Comment