Tuesday, July 21, 2009

indian peom, indian sms and shayari, indian dosti sms and shayari

meri har ek baat main tum ho,
mere har jasbaat main tum ho,
meri ek ek raat ke saaye main tum ho,
sapno main tum ho,
haqiqat main tum ho,
phir bhi tum meri zindgi main shaamil nhi ho.

har saans main tum ho,
har dharkan main tum ho,
har chalney ki aahat main tum ho,
khamoshi main tum ho,
awaaz main tum ho,
phr bhi tum meri zindgi main shaamil nahi ho.

hooton pe muskurhat bankar ho,
aakon main sapna ban kar ho,
galey main sona ban kar ho,
sir par ashirwaad ban kar ho,
har musibat main dosti ban kar ho,


akela……. ..



unn raho pe jiss ke saath chalta tha,
aaj unn raho pe apni tanhaaiyon ke saath chlta hun,
kon kehta hai mein akela hun.
mere dost mere paas nahi hai toh kya hua,
unki yaadon ke saaath rehta hun,
kon kehta hai mein akela hun.
aaj bhi usko dhundney har raat ko niklta hun,
uska aaj bhi wahi par intzaar karta hun,
pta hai woh ni aayegi,
magar uskey intzaar main waqt se baat karta hun,
kon kehta hai mein akela hun.
sunsaan galio main jaakar rota hun,
woh mere aasun puchti thi yehi baat sochtha hun,
mere khayalo, mere dil, mere har ek pal main hai woh,
kon kehta hai mein akela hun.



dur……… .



kal tak woh paas thay,
aaj woh humsey dur ho gye
kal tak jiss waqt uski aakon main dekhta tha,
aaj uss waqt uski yadoon main kho gye
har pal jab uskey saath tha,
kush tha…
magar ab woh dur ho gye.
saath chalney kaa wada kiya tha,
magar aaj akele ho gye..
har khushi ki wajah woh hoti thay,
aaj aasun ki wajah ban gye.
woh humsey dur ho gye..
unhoney mere liye kisi ko ****a tha,
aaj unhi ki wajah se mujey **** gye….
woh humsey dur ho gye…
woh humari har baat maantey thay,
aaj jab unki baat maanney kaa wada kiya,
toh isi baat ka bahana bana kar chaley gye…
woh humsey dur ho gye..
kal tak jeeney ki wjah thay,
aaj marney ki wjah ban gye…
woh humsey dur hogye…


intzaaar



mujy aaj b uss raat ka intzaar hai….
jismey maine ussey chaand main dekha tha….
mujy aaj b unn sapno ka intzaar hai…..
jinmey unsey mila tha….
mujy aaj b unn palo ka intzaar hai….
jinmey unke saath tha……
mujy aaj b unka intzaar hai…

mujy intzaar hai har uss baat ka……
jo maine unke saath ki hai…
mujy aaj b intzaar hai unn aakhon ka..
jo mujy har pal dekhti hai…
mujy aaj b intzaar hai haaton ka..
jo mere haaton main hai…
mujy aaj b unka intzaar hai…

kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata,
manzil tak saath dene k liye koi humrahi mil jaata,
mere gamo ko apna kehne wala mil jaata,
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata.

kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata,
andhera dur karne k liye chiraag miljaata,
saari khwaaish puri karne k liye bagwaan mil jaata,
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata.

kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata,
faasle mitaaney k liye waqt mil jaata,
unski ek jhalak paaney k liye unka ek ikraar mil jaata,
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata.

kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata,
duniya se janey se pehle unka pyaar mil jaata,
iss duniya main wapis aane ka ek bahaana mil jaata,
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata.



pyaar itna karo k usme koi had na ho,
bharosa itna karo k usme koi shaq na ho,
intezaar itna karo k usme koi waqt na ho,
dosti aisi karo k usme koi nafrat na ho

Aaj ki Raat toh Jee bhar ke mujhe rone de….
Na jaane kyun hame Aasu bahana nahi Aata…
Na jaane kyun Haal-E-Dil batana nahi Aata…
Kyun Saathi bichad jaate hai hameshaa …
Shayad hame hi saath nibhaana nahi Aata



Kuch Dost aise hote hain ,
Jo dil main bas jate hain.
Jo zindagi ki rahon main ,
hum se bichar jate hain.
kuch dost aise hote hain ,
jo raat main yaad aate hain.
aur raaton ki tanhaai me rulaate hain ,
kuch dost aise hote hain ,
jo phoolon ki tarah hote hain.
jo khud to chale jate hain,
per apni mahek chor jate hain.
kuch dost aise hote hain ,
jo zindagi tor dete hain.
per zindagi ki raahon me tanha chor detey hain.
kuch dost aise hote hain,
jo chaand ki tarah hote hain ,
jo daag to bahut rakhte hain per
khubsurat nazar ate hain.
kuch dost aise hote hain ,
jo patthar ka dil rakhte hain ,
jo shisha-e-dil tor jate hai,,,,,,,,,,,,,,,
tum…in sub mein anmol ho..

No comments:

Post a Comment