Tuesday, July 21, 2009

india poem and love sayari, india Sayari, indian gazal

kabhi kabhi achanak u hi



kabhi kabhi achanak u hi
dil ki veeranio ko paar karti hui
ek awaz aati hai ki
kabhi kahi koi to ho
jo sirf mera ho

jiski tanhaiya mere intzar me ho
jiski yaado me mera basera ho
jiske jazbo ko meri talash ho
jo taaumer mere sath ho

jiske jindagi me aane se
jindagi se koi aur khwaish na rahe
jisko paa lene k bad khuda se
koi guzarish na rahe

jo chilchilati dhoop me
saata-e-deewar ho
jo sirf mera ho
bus mere liye bekarar ho
jo apni muhabbat ka
afsana bana le mujhe
jo her sukh se her dukh se
begana bana de mujhe……..
kabhi kabhi achanak u hi……….



Bana Lenge Tumein Apna !!!


Bana lenge tumein apna,zara tum sabar to karlo

Mujhe duniya se ladna hai,zara tum sabar to karlo

Tumhare bin kisi ko sauchna mumkin nahin jaana

Yeh jeevan tum bin adhura hai,zara tum sabar to karlo

Yeh duniya chhor de mujh ko,mujhe parwah nahin iski

Faqat tum ko hi paana hai,zara tum sabar to karlo

Tum apne dil ki basti mein,mujhe abaad hi rakhna

Bahaut bardasht hai mujh mein,zara tum sabar to karlo(mkm)




Woh Rulaa Kar Hans Na Paaya


Wo Rulakar Hans Na Paaya Der Tak
Jab Mein Rokar Muskaraya Der Tak

Bhulana Chaha Agar Usko Kabhi
Aur Bhi Wo Yaad Aya Der Tak

Bhuukhe Bachhon Ki Tassalli K Liye
Maa Ne Phir Paani Pakaya Der Tak

Gun Gunaata Jaa Raha Tha Ek Faqir
Dhup Rehti Hai Naa Saaya Der Tak

Wo Rulakar Hans Na Paaya Der Tak
Jab Mein Rokar Muskaraya Der Tak

No comments:

Post a Comment