Monday, July 27, 2009

Hansi dekh ke meri, sab mehfil main muskura diye,

Hansi dekh ke meri, sab mehfil main muskura diye,


Hansi dekh ke meri, sab mehfil main muskura diye,
Tumne padh liye shayad gham jo mere paas aa gaye.

Baahon main bhar ke poochha jab tumne,
Kucch na bole hum bas muskura diye.

Jaana tha aaj tumhe humse door hamesha ke liye,
Jaate jaate tere chehre se ashq chura liye.

Sajj ke beithi thi tu apne mehboob ke aagosh main,
Saare armaan apne ishq ki aag main jala diye.

Kucch na socha kabhi maine kucch na chaha tha tere siwa,
Keh na paaya dil ki baat shayad thi ye meri khata.

Kaash main iqraar kar deta apni mohabbat ka,
Toh anjaam-e-Ishq main na milti ye saza.

Jaana hai kal subah tumhe sab naato ko tod kar,
Is baat ne mere ashq thay baha diye.

Dekhi thi maine shikan tere chehre par bhi,
Mere aasuon ne sitam tujhpe dha diye.

Tune poochha jab hale dil de ke apni kasam,
Raaz sare is dil k thay tujhe bata diye.

Palkein bheegi huyi lab khamosh thay,
Teri khamoshi ne mujhe saare jawab diye.

Saj chuki thi par doli teri,
Hum dono ne apne gham chhupa liye.

Sab roye thay teri vidaayi main,
Dekha jab tune mujhe toh hum muskura diye.

No comments:

Post a Comment