Search Indian Shayari

Saturday, April 7, 2012

Daayare rahe hain ham

Daayare rahe hain ham 

ye mat pooch ki kisliye, gam pee rahe hain ham
Sak-subahon ke daayron mein jee rahe hain ham

aaj kal mohtaaj hain, ek-ek boond ko
ye aur baat hai, kabhi-saaki rahe hain ham


is tarah ek doosre ka, khaa rahe hain-hak
ho na ho, Shaayad kabhi, habshi rahe hain ham

ab baat karnaa bhi, gawaaraa nahin unko
ki jinki zindgi ke, Daayare rahe hain ham 

You Might Also Like

    Listen to this post
    1x

    No comments:

    Post a Comment