Search Indian Shayari

Wednesday, April 11, 2012

Badalte Log

Badalte Log

log yahan kapdon ki tarah, humsafar badalte hain
khuda bhi dang reh jaye , aise rang badalte hain
kiske dil mein kya hai,kise pata hai
dil lagaya jo kisi se ,to yeh tumhari hi khata hai
saraye ki tarah inke dil ke mehmaan badalte hain

mausam se pehle inke dil ke armaan badalte hain
insaanon ki yahan kya ahmiyat hai
jazbaton ki yahan kya aukat hai
kapat se bhari inki niyat hai
chchal se bhari inki har baat hai
bhatakte musafir ki tarah inke thikane badalte hain
yeh to har pal yahan apne jeene ke man badalte hain



You Might Also Like

    Listen to this post
    1x

    No comments:

    Post a Comment