Search Indian Shayari

Monday, March 19, 2012

Yaad ayega

Yaad ayega

Jab koi pyaar se bulayega
Tum ko ek shaks yaad ayega

Lazite gham se aashna ho kar
Apne mehboob se juda ho kar
Dil kahi jab sakoon na payega
Tum ko ek shaks yaad ayega.




Tere lab pe naam hoga pyaar ka
Shama dekh kar jalayega dil tera
Jab koi sitara timtamayega
Tum ko ek shaks yaad ayega.

Zindagi ke dard ko sahoge tum
Dil ka chain dhundhte rahoge tum
Zakham dil jab tumhe satayega
Tum ko ek shaks yaad ayega.

You Might Also Like

    Listen to this post
    1x

    No comments:

    Post a Comment