Search Indian Shayari

Monday, March 19, 2012

Nahi aaya

Nahi aaya

Raat to khatam hone wali hai
Kyu ujala nazar nahi aaya
Likhte dekha tha khwaab mein unko
Ab talak naam nahi aaya.

Chain aayega kaise aaj ki shab
Taare nikle qamar nahi aaya
Chal basi maa liye khuli aankhein
Uska noor-e-nazar nahi aaya.


Mere marne pe aaya sara jahan
Jo tha ek bekhabar nahi aaya
Manzile kho chuke hain pehle se hi
Neel kya kashghar nahi aaya.

Yu to patthar bahut se dekhe hain
Koi tumsa nazar nahi aaya
Shaam dhalne lagi hai ab mufti
Subha ka bhoola ghar nahi aaya.

You Might Also Like

    Listen to this post
    1x

    No comments:

    Post a Comment