Search Indian Shayari

Friday, March 16, 2012

Naam sargoshi main mera hi suna dayta hay


Naam sargoshi main mera hi suna dayta hay 

wo kaisa shakhs hai k her roz saza deta hay
phir hansata hay wo itna k bhula deta hay

kabi jo ro day to mujko b bhool jata hay
aur phir bhool k mujko b rula dayta hay

us say poochon k bata kis say muhabat hay tumhai?
Naam sargoshi main mera hi suna dayta hay


khud he kehta hai na dohraon purani yadain
main na dohraon to phir khud he suna deta hay

khud he likhta hai k jazbat main halchal na karo,
aur phir khud he nayee aag laga deta hay

You Might Also Like

    Listen to this post
    1x

    No comments:

    Post a Comment