Thursday, August 20, 2009

Yun dost saarey apney apney rastey badal gaey

Yun dost saarey apney apney rastey badal gaey


Yun dost saarey apney apney rastey badal gaey
kuch peechey ruk gaey to kuch aagey nikal gaey
haalaat ki dhoop zaraa si deir ko teiz kya hui
jitney wafaa ke peikar they saarey pighal gaey

waadoN ke taarey raatoN sey baahar na jaa sakey
iraadoN ke din nikalney sey pehley hi dhal gaey
wafaaoN ke rang shabnam ke qatroN ney dho deeye
mohabbat ke phool jazboN ki shiddat sey jal gaey

taanon ke teer dunya ki kamaanon pe jab charrhey
sabar ke daaman haathon sey yakdam phical gaey
aankhein khulein to khaabon ko bura laga magar
kuch deir wo reh ke muztarib khud hi behal gaey

pehley pehal to ajeeb lagey badley huwey chehrey
phir yun huwa ke waqt ke saath hum bhi sambhal gaey

No comments:

Post a Comment