Thursday, August 20, 2009

Kaise Kahoon Ke Apna Bana Lo Mujhe !!!

Kaise Kahoon Ke Apna Bana Lo Mujhe !!!


Kaise kahoon ke apna bana lo mujhe

Bahon mein apni samaa lo mujhe

Bin tumhare aik pal bhi ab kat-ta nahin

Tum aa kar mujhi se chura lo mujhe

Zindagi to woh hai sang tumhare jo guzre

Duniya ke ghamon se ab chhura lo mujhe

Meri sab se gehri khuwahish ho puri

Tum agar pass apne bula lo mujhe

Yeh kaisa nasha hai jo behkaa raha hai

Tumhara hoon main to sambhalo mujhe

Najanay phir kaise guzre gi zindagani

Agar apne dil se kabhi tum nikalo mujhe

No comments:

Post a Comment