Wednesday, May 14, 2008

love sayari

fir wahi fasaana afsaana sunaati ho,
dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho,
beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko,
to Fir kyon nahi pyaar jataati ho


dil ki basti bikhar gayi hoti,
ki rooh ke ye zakhm bhar gaye hote,
yeh zindagi to aap ki amaanat thi warna,
hum to kab ke mar gaye hote!!


mila nahi koi dilbar aisaa,
jo hamse dil lagaataa,
hum to hain diljale aur,
yu hi koi dil nahi jalaataa.


Haqeeqat karo byaan to mazaak lagta hai,
ibadat karo jab to jhootha khwab lagta hai,
Are ye dil hai dil, aur dil ki hai ye sdaa,
aur tum kehte ho ki tumhe ye haseen ittfak lagta hai


mere jeene ke liye tera armaan hi kaafi hai,
dil ke qalam se likhi ye dastaan hi kafi hai,
teer-e-talwaar ki tujhe kya zaroorate ai nazneen,
qatl karne ke liye teri muskaan hai kafi hai.


agar hum na hote to tujhe ghazal kaun kahta,
tere chehre ko kamaal kaun kahta,
yeh to karishma hai mohabbat ka,
warna pathharoN (stones) ko taj mahal kaun kaheta??


roz hota hai tarruf mera teri yAdoN se,
chhalakta hai noor tera meri AnkhoN se,
tadap raha hoon maiN aur ab ye Alam hai,
aur intezaar nahi hota ab meri sasoN se,

No comments:

Post a Comment