Thursday, May 1, 2008

aag ka dariya

Masoom mohabbat ka bus itna fasana hai,
kagaz ki haveli hai, baarish ka zamana hai,
kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai,
aawaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gaana hai,
Us paar utarne ki umeed bahut kam hai,
kashti bhi purani hai, tufaan ko bhi aana hai,
Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke,
ek shakhs ko aankhon se haal-e-dil sunana hai,
Bholi si adaa koi fir ishq ki zid par hai,
fir aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai.

No comments:

Post a Comment