Friday, July 31, 2009

Pal Bhar Mein

Pal Bhar Mein



Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain
jin rahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain

karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein
sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain

woh aisi hai ki uska naam sunney ke tasawwur say hi
hamari tamaam tar saatein badal jati hain

sochta hoon jane kaise? kah paoonga main us say
milta hoon to dil ki sari batein badal jati hain

chahe “Manzil“ “Dushwar“ ho aur “Duur“ bhi
par humsafer uske jaisa ho to mushkile badal jati hain

yun to “Raat“ ka alam haseen hota hai, madhosh bhi
magar“chand“ dekhta hoon to meri ratein badal jati hain

mat chaho, ki mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
yeh na ho ki log kahein, jald hi adatein badal jati hain

No comments:

Post a Comment