Sunday, March 11, 2012

Main thak gaya hoon


Main thak gaya hoon

Suno!

Meri palkon pey ab tak

Kuch aadhoray khawab jaltay hai

Meri neendon main tare

Wasl ka resham ulajhta hai

Marey aansoun marey chahrey pey

Tarey gham ko likhtay hai

Marey andar kayi sadiyun kay

Sannaton ka daira hai

Marey alfaaz baahain wa

Kya mujh ko bulaatay hai

Magar main thak gaya hoon

Main nay khamoshi ki

Goad main sar rakh diya hai

Main baloon main tumharey

Hijar ki naram ungaliyan mehsos karta hoon

Meri palkon pe jaltay khawab hai

Ab raakh ki surat

Tumharay wasl ka resham bhi

Ab neendain nahe bunta

Meri aankhon main jaisa

Thar kay mosam ka basera hai

Mujhay andar key sannaton main

Gehri neend aayi hai

Suno!

Is yaad say keh do

Mujhay kuch dair sonay do.....!

No comments:

Post a Comment