Friday, March 9, 2012

intezar

intezar


Tera kia bohot intezar
Hamesha tere ghar ke bahar
Subah sham ho ya raat
Tune na ki fir bhi koi baat

Darta tha tere samne aane se
Tujhse do pal nazar milane se
Par yeh man kahan manta tha
Tujhe hi ek humsafar manta tha


Fir bhi nikal na jane kitne din
Kati subah aur raatein tere bin
Kahne gya dil ka haal ek baar
sari apni himmat jod ke
Par tab tak tu hi chali gyi
mujhe tanha chhod ke.

No comments:

Post a Comment