Friday, March 9, 2012

Bewafa Shayari

Bewafa Shayari

Hum ishq karte the,
logon nay nafrat karna sikha dia,
Jise dekh ke haste the Hum,
Usine aaj hume rona sikha diya…

Pal hi aisa tha ki hum inkar na kar paye,
zamane k dar se ikrar na kar paye,
 na thi jinke bina zindagii munasib,
chorr diya sath unhone aur hum sawal tak na kar paye


Guzre dino ki bhuli hui bat ki tarha
ankhon main jagta hai koi rat ki tarha
us se umeed thi k nabhaye ga sath
magar wo b badal gya mery halaat ki tarha.

Muhabbat kaa ajeeb kaarobaar hum ne kia
Wo baywafa sahi magar pyar hum ne kia agar
 wo chor gaya to mat kaho bura usko
Qasoor us ka nahi Eitabaar hum ne kiya!!!!!!!!!!!

Waqt kee aandhee main tufaan badal jatay hain,
Zindagi ki raahon main INSAAN badal jatay hain,
Badaltaa nai PYAAR kabhee,
Pyaar karnay walay INSAAN badal jatay hain ….

No comments:

Post a Comment