Thursday, August 20, 2009

Meri mohabbat hai woh,koi majboori to nahin.

Meri mohabbat hai woh,koi majboori to nahin.


Meri mohabbat hai woh,koi majboori to nahin.

Woh mujhe chahe,ya mil jaye zaroori to nahin.

Yeh kuch kam hai ke basa hai meri saanson mein.

Woh saamne ho meri aankhon ke zaroori to nahin.

Jaan qurbaan meri,us ki har muskurahat pe.

Chahat ka takaaza hai yahi,aqal-e-khurori to nahin.

Ab to nikal ke aankhon se,yaadon mein ja basa woh.

Yahi hai qurbat-e-chahat,koi doori to nahin.

Us ke gar ki taraf uthte hi ruk jaate hain kadam.

Badnaami se us ki darta hoon,koi maazoori to nahin.

Kiyon log madhosh hote hain meri mehak se.

Dil ki jalan aur aansouon ka atar hai,mehak-e-kafoori to nahin.

Dair karta hoon har kaam mein,kehte hain dost mere.

Kum aqali hai meri koi shaoori to nahin.

Kiyon sulgaata hai apne aap ko ae mian.

Dil bhi tera,jaan bhi teri,koi tandoori to nahin.

No comments:

Post a Comment