Wednesday, August 19, 2009

india poem and love sayari, india Sayari, indian dosti sms and sayari,

sab se chupa kar dard jo woh muskura diya….
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya…..

lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan…
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya…

aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi…
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya….

jane kya us ko loghon se thi shikayatein….
tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya…

khud bhi woh hum se bichar kar adhura sa ho gaya….
mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya….




Us ne poocha, dost kya hai,
Maine kaanto par chal kar bata diya.
Us ne poocha, kitna pyar karoge dost ko,
Maine poora aaasman bata diya.
Us ne poocha, kaise rakhoge dost ko,
Maine dheere se phoolon ko sehla diya.
Us ne poocha, kisi ki nazar lag gayi to,
Maine palko me usko chupa liya.
Us ne poocha, jaan se bhi pyaara dost kise kehte hain,
Maine aapka naam bata diya.


yaadon main kabhi aap bhi khoye hoge
khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge
maana hasna hai aadat ghum chupaane ki
par haste haste kabhi aap bhi roye hoge

No comments:

Post a Comment