Monday, July 27, 2009

indian bewafai, indian dosti sms and sayari, indian gazal, india poem and love sayari, indian sad,

Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota,
Har kisi ko dekhna pyar nahi hota,
Yu to milta hai roz mohabbat-e-paigam,
Pyar hai zindgi jo har baar nahi hota…….! !!



Khamosh Raat Ki Pehlu Mein Sitare Naa Hote,
In Rookhi Aankhon mein Rangeen Najare Naa Hote,
Hum Bhi na Karte Parwah
Agar aap Itne Pyare na hote……



Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai…
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai…




Us ajnabi ka youn na intezaar karo
Is aashiq dil ka na aitbaar karo
Roz nikla karen kisi ke yaad mein aanso
Itna kabhi na kisi se pyaar karo



Har aahat ehsaas hamara dilaayegi.,
Har hawa khushbu hamari laayegi.;
Hum dosti aisi nibhaayengey yaara!
Ki hum na honge aur humhari yaad tumhe sataayegi..! !!



Tammana-e-ishq to hum bhi rakte hain,
Kisi ke dil me hum bhi dhadakte hain,
Na jane woh kab milenge
jin ke liye hum roz tadapte hain.



Aansu ko bahot samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
Is par aansu tadap kar bola, Itne logo me apko tanha paate hai,
Isliye chale aate hai!



Dil ki awaaz ko izhaar kehte hai,
jhuki nigah ko ikarar kehte hai
sirf paane ka naam ishq nahi.
kuch khone ko bhi pyaar kehte hai.



Main Lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta,
iska matlab ye nahin k main tujhe pyar nahi karta
chata hun tumhe aaj bhi par teri soch mein apna waqt bekar nahi
karta,
tamasha na ban jaye kahin mohobat mein mera islye apne dard ko bayan
nahi karta




jo kuch bhi mila hai usi mein khush hu
mein tere liye khuda se taqrar nahi karta,
par kuch to baat hai teri fitrat mein
zalim warna tujhe chahne ki khata baar baar nahi karta



rich people travel in cars
poor people travel in carts
but people like u
always travel in hearts.



Aapse nazrein to mila lein par ye to bataiye ki
Aap mein aisa kya dekhein jo dekhte hi deewana banade
Badi mushkil se militi hai zindagi sambhal ke rakhiye
Kahin is shama ko hum parvana na banade



Dil ke dard ko dil torne wale kya jana,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni takliff kabar ke niche,
Yeh upar se phool charane wale kya jane.



Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota.
Toh kya huwa agar hum tume na pasake,
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota.



Har phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahi koi zakhm nahi phir bhi kyu yeh ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aj bhi us ke paas hai.



tere husn ko shabdon mein kaid kar raha hoon
jo rahe nakaam woh koshish kar raha hoon,
amber pe hain lakhon tare chamakte
ek ko is zameen par chamkane ki koshish kar raha hoon



Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta



Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan!



Tumhe dil main basaye rakhta hoon
Aur duniya ko bhoolaye rakhta hoon
Tumhe meri nazar na lag jaye
Iss liye nazarein jukaye rakhta hoon



Kaise kahe ke aap kitni khubsurat hai,
Kaise kahe ke hum aap pe marte hai,
Yeh to sirf mera dil hi janta hai,
Ke hum aap pe hamari jawani qurban karte hai…



Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga,
Jaise amavas ne har raat chand maanga.
Ruth gaya woh Khuda bhi humse,
Jab humne apni har duwa mein unka saath maanga



Saath to mangne Se Mil Sakta Hai
Lekin Pyar Mangne Se Nahi Milta
Kyonki Pyar Kiya Nahi Jaata
Pyar to Ho Jata dil se dil ko jab koi pyara lagta hai.



Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte usi se mohabbat kyun hoti hai.



Logo ko aksar kehte suna:
“Zinda rahe toh phir milenge”.
Magar aap se mil ke
Isha dil ne mehsoos kiya hai ki,
“Aapse milte rahe toh Zinda Rahenge”.



Is jahan me mohabbat kash na hoti,
To safar-e-zindagi me mithas na hoti!
Agar milti BEWAFA ko sazae maut,
To diwano ki kabre yu udas na hoti!!


Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bahut chahat hai,
par milne ke baad judaai se darte hain



GHAM KO BECHKAR KHUSHI KHAREED LENGE.
KHWAB BECHKAR ZINDAGI KHAREED LENGE.
HOGA IMTIHAAN TO DEKHE GI DUNIYA.
KHUD KO BECH KAR AAP KI KHUSHI KHAREED LENGE …….



Dil mein tumhari apni kami chod jayenge,
Aankhon mein intezar ki lakir chod jayenge,
Yaad rakhna dhundte rahooge humhe,
pyar ki aisi kahani chod jayenge.



Jante hain hum zindagi mei
gam khushi se kam nahi
Tum agar meri saath ho DOST to
ye zindagi bhi kuch kam nahi



Muskurate palko pe sanam chale aate hein,
aap kya jaano kahan se hamare ghum aate hein,
aaj bhi us mod par khade hein,
jaha kisi ne kaha tha ke theron hum abhi aate hein.



Yaad aaye to aankhen band na karna,
hum chale bhi jaaye to gum na karna.
Yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,
per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna.



Kitna pyar karte hai hum unse,
Kaash unko bhi yeh ehsaas ho jaye,
Magar aisa na ho ke woh hosh mein tab aaye,
Jab hum gehri neend mein so jaye

No comments:

Post a Comment