Tuesday, July 28, 2009

india poem and love sayari, indian dosti sms and sayari, india Sayari, indian sad,

Hotii nahin kisike woh ikhtiyaar mein
aakar khizaa rahegii baag-e-bahaar mein

main anjuman akelaa, tanhaa hazaar mein
itna kabhi n khush tha jitna mazaar mein

arsaa hua kisikii aahat sune hue
paazeb kya bajenge ujade dayaar mein ?

na sham-e-gam katii, na raatein firaq ki
ik umr kaT gayii hai sabr-o-qaraar mein

sehra-e-zindagi mein aisii hain aandhiyaan
kiske nishaan rahe hain bakii gubaar mein ?




Kuch matlab k liye dhundte hain mujhko, bin matlab jo aaye to kya baat hai.
Katal kar ke to sab le jayenge dil mera, koi baaton se le jaye to kya baat hai..!!!!




yaadein akasar logo ki yaad dila jaati hai

soote main hume dara kar jaati hai

yaadein so pucha ek din maine

tum akhir yaadein kyun kehlati ho

yaadein boli

yaadein hai dil ki aatma

yaadein hai khamosh sajna

yaadein hai wafe se wafadar sathi

yaadein hai aankhon ke aansuo ke samondar ke moti

yaadein hai phoolon ki khoye huye khusbu

yaadein hai sache pyar main chupi huye deewangi.




Do Kadam To Sab Chal Lete Hain Par,
Zindagi Bhar Ka Saath Koi Nahin Nibhata
Agar Ro kar Bhulai Jaati Yaadein
To Hanskar Koi Ghum Naa Chupata!




Har dhalta hua suraj mujhse kehta hai
Aaj ussey bewafaa hue ek aur din guzar gaya




zara si baat dair tak rulati rahi
Khushi mein bhi aankh ashk bahati rahi
Koi mil k kho gaya tu koi kho k mil gaya
Bas zindagi hum ko aisay hi aazmati rahi




Isharat-e-raftaa se kabhi dekha nahi tha hamen
Dard-e-ulfat se jeena nahi tha hamen
Fir bhi kyun ashqon ki duniya mein bheeg gaye
Iss muhabbat ki sulagti aag mein nahi jalna tha hamen




koi muntazir hai uska kitni shiddat se NASIR

wo janta hai magar anjaan bana rehta hai





Ik bewafa se jaane kyo wafa kar rahi hoon main,
Uski ibadat kar ke khuda ko khafa kar rahi hoon main,
Ek baar me maut gawara nahi mujhe,
Kishto me khudkashi kar rahi hoon main,
Kab tak rahungi kaid me ab to rihai de de,
Khud apni ruh ko jism se juda kar rahi hu main,
Zakhm mere dil ke ab nasur ho gaye hai,
Nashtar laga ke dil pe dawa kar rahi hoon main.....





Teri Wafa Ke Saath Hum Tanha Zindagi Gujar Lete
Par Ek Pal Na Reh Paye Teri Bewafaii Ke Saath.......




Muddat huyi wo rulane nahi aaye,
In jalti huyi aankho ko bujhane nahi aaye,
Kehte the saath jiyenge saath marenge,
Hum Ruthe the ek roz aaj tak wo manaane nahi aaye.....




Hum To Mojood Thay Andheroon Mai Ujaalon Ki Tarhan
Tum Nay Chaha Hi Nahi Chaahnay Waloon Ki Tarhan..




Aaj kisi ki dua ki kami hai,
tabhi to humari aankho main nami hai...
Koi to hai jo bhul gaya hamein,
par hamare dil main uski jagah aaj bhi wahin bani hai....



"Tumse Quwwat Lekar, Main Tumko Raah Dikhaoonga
Tum Parcham Lehrana Saathi, Main Barbat par Gaoonga.
Aaj se Mere Phan ka Maksad Zanjeere Pighlana Hai
Aaj se Main Shabnam ke Badle Angaare Barsaoonga".



Aajnabee se dost jub banati hai dosti
Dil ke karib dil ko lati hai dosti
Sare farq bus yun hi mitati hai dosti
Khushi aur gum mein khush rahna sikhati hai dosti
Dost ke liye jina sikhati hai dosti



Hum To Mojood Thay Andheroon Mai Ujaalon Ki Tarhan
Tum Nay Chaha Hi Nahi Chaahnay Waloon Ki Tarhan.


Rulaayoge humko, satayoge humko,
Lekin kis tarah se bhool paayoge humko,
Khuda jaane keise sambhaloge khud ko,
Jab kisi GAIR ki baahon me tum paayoge humko.....



Tumse dil lagaya hai zindagi bhar
Tumse vachan nibhaya hai umar bhar
Dosti ke ehsaas ko saanson mein rakha hai
Pal Pal iss mehek mein jeena seeka hai zindagi bhar...



Dil ke dard ko dil torne wale kya jana,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni takliff kabar ke niche,
Yeh upar se phool charane wale kya jane.



Tumse dil lagaya hai zindagi bhar
Tumse vachan nibhaya hai umar bhar
Dosti ke ehsaas ko saanson mein rakha hai
Pal Pal iss mehek mein jeena seeka hai zindagi bhar...



Na koi Gham Kazan ka hai
Na Khwahish hai baharun ki
Dil main hain us ki Yaaden Areeb
Ab na zaroorat hai aab ki na aab-sahrun ki..

No comments:

Post a Comment