Wednesday, May 14, 2008

indians sms and sayari

Shadi karna tha par kismat khuli nahi,
TAJMAHAL Banana tha par MUMTAZ mili nahi,
Ab kismat khuli Shadi hue,
ab TAZ banana chahta hu,
par ye MUMTAZ marti nahi!


yaadein wo nahi jisme bichadne ka ghum chupa hai
yaadein wo nahi jisme aankom ka num chupa hai
yaadein wo nahi jisme tanhai ka zakhm chhupa hai
yaadein wo hain jisme Hrithik ne act kiya aur jise Subhash ghai ne direct hai.


Hume Jeene Nahi Deti Hai Ye Gujari Huyi yaadein
Hame Se Bhooli Nahi Jati Hai Ye Biti Huyi Baatein
Ab Kaise Kahein Ham Tum se Ye Dost Teri Baatein
Hame Har Pal Yaad Dilata Hai Teri Har Chhoti chhoti Baatein.


Kash tumhare chere pe chicken-pox ke daag hote, Kash tumhare chere pe,
chicken-pox ke daag hote,
chand to tum ho hi sitare bhi saath hote.


Hasti Thi Hasaati Thi,
Dil Ko Bahut Bhaati Thi,
Dekh Dekh Sharmaati Thi,
Phir Andar Se Muskurati Thi,
Aaj! Pata Chala
vo to Pagal Thi


TU KAHE TO TERE LIYE CHAAND TAARE TOD DU
TU KAHE TO BANDH DARWAAJE KHOL DU
TU KAHE TO YEH DUNIYA CHHOD DU
TU EK BAAR TO HASKE DEKH MERE DOST
TERE SAARE DAANTO KO TOD DU


Padh Likh Kar Kya Karna Hai,
Ek Din To Sab Ko Marna Hai,
Mar Kar Phir Paida Hue,
To Phir NURSARY Se Hi Shuru Karna Hai


bahaar aane se pehle fiza aa gayi,
ki bahaar aane se pehle fiza aa gayi,
aur phool khilne se pehle hi bakri kha gayi.


Kabhi Khamoshi Bhi Bahut Kuch Keh Jati Hai
Tadap Ne Ke Liye Sirf Yadein Reh Jati Hai
Kya Fark Padta Hai Dil ho Ya Koyla
Jalne Ke baad To Sirf Rakh Reh Jati Hai


jinka sach hona kisi surat se bhi mumkin na tha
aisi aisi baatein aksar sochna achcha laga
pehle pehle tou nighaaon mein jachta nahi tha
rafta rafta dusra, phir teesra achcha laga.


Tussi lakh bhula ke vekkho
asi dilon yaad aavange
iss duniya vich bohat chaahan waale
asi sab toh vad ke chawange
tussi paani pi pi thak jaana
assi hichkiyan ban ban aavange

No comments:

Post a Comment