Agar talaash karoon, koi mil hi jaaey gaa
Magar Tumhaari tarah kaun Mujh ko chaahey gaa
Ruka hua hai ajab Dhoop chhaa'on ka Mausum
guzar raha hai koi dil sey Baadalon ki tarah
" Uss" sey Aik baar tou roothoon Mein, Ussi ki tarha
Aur Meri tarha sey " Woh " Mujh ko manaaney Aey
Hur lafz kitaabon mein Tera Aks liyey hai
Aik phool sa Chehra Mujhey parhney nahin deta
Merey Khuda, Mujhey itna tou Mo'tabar kar dey
Mein jiss ' Makaan ' mein rehta hoon, uss ko ' Ghar' kar dey
Shab-e-Wisaal mein roshan charaagh gul kar do
Khushi ki buzm mein kya kaam jalney waalon ka
Paas rehta hai......door rehta hai..
Koi Dil mein..... zaroor rehta hai
Poocha Kuch iss tarah sey, USS ne Mera Mezaaj
Kehna para ke, " Shukr hai, Parwardigaar ka "
Doobna hi tha jo Kashti ka Muqaddar, Ya Rub
Aankh ke saamney, Aey Kaash, Na Saahil hota
Ahsaas kaa andaaz badal jaata hai ,Warna
aanchal bhi ussi taar se banta hai, kafan bhi
Uss waqt Intezaar ka Aalum na poochiyay
Jab koi baar baar kahey," Aa raha hoon mein
No comments:
Post a Comment