Sunday, May 18, 2008

Deewane Ho Gaye Ham Jinki Yaad Me, Rehte Hain Saath Saath Main Aur Meri Tanhai

Deewane ho gaye ham jinki yaad me,
Wo hum hi se begaane ho gaye,
Shaiad unhe talash hai ab naye pyaar ki
Kyun ki unki nazar me hum purane ho gaye.


Apni kismat ke aage bebas hai Insaan,
Bebas hai khwaab haqeekat ke aage,
Koi ruki huyee Dhadkan se puche,
Kitna tadapta hai Dil Mohabbat ke aage.


Ek dil ka kaha mano ek ehsaan kardo,
Ek benam si moohabat mere naam kardo ,
Meri jaan per itna ehsaan kar do,
Ek subah ko milo aur shaam kar do,


Kuch pal hote hai kuch pal k liye,
Jee lo inhe har pal ke liye,
Ye waqt to ret ki tarha fishal jayenge,
De jayenge sirf kuch yaden umar bhar k liye.


Time Is The Coin Of Your Life.
It Is the Only Coin You Have, And
You Can Determine How It Will Be Spent.
Be Careful Lest You Let Other People Spend It for You.




Rehte Hain Saath Saath Main Aur Meri Tanhai


Rehte hain saath saath main aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat main aur meri tanhai


Din to guzar hi jata hai logon ki bheed me
Kartey hain basar raat main aur meri tanhai


Saanson ka kya bharosa kab chhod jaaye saath
Lekin rahenge saath main aur meri tanhai

Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai

Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai

Tum ko rakhenge saath zeenat bana ke ghar ki
Reh jaayein phir na tanha main aur meri tanhai.

No comments:

Post a Comment